सोमवार, 1 दिसंबर 2014

Chahat

Ek baar to mud ke dekh lo jaanam,
Tere didaar ki chahat hame aaj bhi hai. . .

Tarpe to hain hum har lamhe me magar,
Tere intjaar ki chahat hame aaj v hai. . .

Maana teri saadgi ko dekh kar machlaa hai mera dil,
magar,
Tere sringaar ki chahat hame aaj v hai. . .

Judaa to hote hain Suraj aur Chaand v sada,
magar,
Tujh se lipat jane ki chahat hame aaj v hai. . .

Bikhre to hoon mai kai martbaa aandhiyo me magar,
Tere julfo me ulajh jaane ki chahat hame aaj v hai. . .

Mit chuke hain hm teri mohabbt me saoo daffa magar ,
Is ruh ko ko tujh me samaa jaane ki chahat hame aaj v hai. . .

Yun to paar aaya kai samundaro ki gahrai mai, magar,
Tere aankho me dub jaane ki chahat hame aaj v hai. . .

Ek baar to mud ke dekh lo jaanam,
Tere didaar ki chahat hame aaj v hai. . .

-Suman
"Raushan"

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें